How to travel solo
- Get link
- Other Apps
How to travel solo
Solo travel ka apna hi maja hai, kyonki isme bina rok tok ke apni yatra ko pura enjoy karte huye travelers apne jiwan ka pura aanand lete hain.
Solo ek angreji (English) ka word hai, jiska matlab hota hai- ‘akele’
Ya ‘alone’ aur isi me jab trip ya travel jodte hain, to pura word banjata hai solo trip ya solo travel Matlab ‘akele yatra’
Jab bhi ham sab akele koi yatra karte hain to ayse login ko (solo triper) ya (solo traveler) kahte hain.
Solo travel kaise kare?
Solo travel karne ke liye kuch important baton ka ya kahe ki jankari kahona bahut jaroori hai, jo myne age point wise bataya hai.
Solo travel ke liye sabse pahle ek jagah choice karen, jahan aapko jana hai
- Ghumne ki jagah, apne ghar se najdeek ka banaye jyse ki 200km se 500km tak ka. Halanki ki ghumne ke liye duri matter nahi karti.
- Aysi jagah par ghumne jayen jahan apna janne wala rahta ho taki koi bhi dikkat ho to ajnabi shaher me madat mil sake.
- Ho sake to apni pahli solo yatra yatra apne hi desh me hi kisi jagah jane ka plan kariye
Is khas baat ka dhiyan jaroor den
Kisi bhi jagah ka plan banaye to wahan ki choti se choti jankari ko janiye chahe ya phir aapka koi janne wala pahle se gya ho kyonki jankari badi ho ya choti apke solo trip yatra me bahut kam ayega.
Jab jagah ko select karliya to wahan jane ke liye sadhan ko dekhiye ki us jagah par kaise pahuche?
To kisi bhi jagah par pahuchne ke liye bus,train,flight ya apne khud ke sadhan ka use kar sakte hain. Jahan se aap travelling shuru kar rahe hain agr wahan se train availabile ho to yatra ko aramdayak banane kar liye sabse acha option hai. Aap train ticket counter ya online book kar sakte hain. My to yahi kahunga ki aap online hi book Karen. Agr train available nahi hai to hi bus ko select Karen pahuchne ke liye.
Ab baat karlen ki ghumne ke liye apne budget ki koi dikkat na ho aur us jagah par jane ka Hawai travel ka option hai, to aap flight ki ticket bhi book karke ja sakte hain.
Ya agr flight ki suvidha na ho to apne Niji sadhan (four wheeler) ya rent par lekar bhi apni yatra shuru kar sakte hain|
Hotel booking Karen
Ghumne ka saman pack Karen
Solo trip me apke sath Jane wale important saman jo bhi, uski ek list jaroor bna len, jyse ki
- Ek pit tho bag ya trali bag jisme kapde lejayenge. Aysa isliye kyonki aap akele hain,to ye dono tipe ke bag carry karne me ache hote hain|
- Ek Chota bag apne baas jaroor rakhen, jisme mobile,charger,powerbank,pen,kagaz,wallet,change pyse etc Aram se aa sake|
- Agr photography ke shokeen hain tabhi alag se camera rakhen nahi to photo khichne ka kaam aapka mobile hi kardega|
- Mobile me net/data plan jaroor active karen aur uske sath hi map/GPS ko jaroor on rakhen|
- Digital net banking ka jamana hai, to safety ke liye jaroorat bhar hi apne paas cash/nagad rakhen|
- Kapde travel ke hisab se aramdayak le jayen aur jyada na len jaye kyonki jyada ke Karan aapka language bhari ho jayega aur aap ek ke jagah aur bag le jayenge, jisse ghumne ka maja fika pad jata hai.
- Ek gharelu medicine kit(sar dard,pet dard, Bukhar etc ki Dawa) sath rakhe, jaroorat par kam ayega|
- Kam se kam do parichay patra (ID PROOF) jo aapke photo aur niwas(home town) ka proof ho jaroor sath le jayen example- adhar card, driving license, etc
- Apni solo trip ki jankari apne firends me,family members me jaroor share Karen kyonki kam se kam unko is baat ki puri jankari honi chahiye ki aap kahan ja rahne hain.
- Jab bhi aap ghumne jayen aur jo bhi hotel book kiye ho unse local ghumne wali places ke bare me jaroor ouche ya kaise pahuche? Sadhan ke bare me ya kya ghumne layak jagah haain?
Aur tab plan banaye kyonki a jab shaher me agr aap kisi par bhi wishwas (trust) kar sakte hain, to wo hotel hi hai jahan par aap ruk rahe hain.
Aysa is liye kaha ki kabhi-kabhi internet ki jankari se wastavik jankaari thodi alag hoti hai, to aap kisi dikkat me na a jayen isiliye hotel par wishwas kariye aur iske liye hotel booking par dhiyan dhiyan dijiyega.
What we do during solo travel
Hitchhiking
Couchsurfing
Benefits of couchsurfing
Disadvantage of couchsurfing
Hostels
My solo hi travel karta hu aksar jo ki aap niche meri kuch photos dekh sakte hain
- Get link
- Other Apps
Comments
Hy
ReplyDeleteThank you so much sir bhot help hui
ReplyDeleteNice
ReplyDeleteAmazing bro
ReplyDeleteSupper bhai
ReplyDelete👌👌👌👌👌👌👌👌👌👌
DeleteAmazing work bruhh💖
ReplyDelete